Aaj phir kalam utha hai,
Jasbaat byaa jo krne hain,
Koi smjhega inhe,
Krega mehsoos,
Itna bharosa hai mujhe,
Kyunki aaj dil se dil ke taar jo jude hain.
Log roz aate hain, phir chle jaate hain,
Magar sda ke liye jo humsafar bnjaaye,
Sache rishte to wohi kehlaate hain.
Sharir to mar hi jayega,
Atma amar hai,
Marnese pehle isse mt maaro,
Zrasa gaaur farmao yaaro!
Tum mile ho mujhe,
Jeena hai tumhare sath,
Hasna hai, rona hai,
Karna hai mehsoos har ek jasbat.
Mujhse mera dost mt chheenna,
Reh nhi paungi,
Chle gye jo ruthke tum,
To kuch keh nhi paungi,
Magar khuda janta hai ki andrse bikhar jaungi.
Likha krti thi mai har ek ehsaas apna,
Kagaz pe utara hai maine har ek jasbat,
Har ek sapna.
Kalam ne khoob sath nibhaya mera jb koi sathi na mila,
Koi raazdar mere safar mai na juda.
Jasbat itne masoom the,
Kyi saare the,
Magar jb himmt ki jtaane ki,
Koi kitna khaas hai mere liye,
Usse ye btaane ki,
To hisse har bar sirf dard hi aaya,
Ankhonse ansoo bhe,
Aur ghum hi iss dil ne paaya.
Logon ne thappad marne ke liye hi shyd mujhe paas bulaya.
Vishwas hota nhi mujhe kisipr,
Dilse apna nhi paati,
Kyunki door chla jata hai wo,
Jiske kareeb mai hu jaati...
Comments
Post a Comment